सोमवार, 20 अक्टूबर 2008

Raat aur din..


" Raat aur din.. kitne khoobsurat do waqt hain.. aur kitne khoosurat do lavs.. ab in do waqto ke beech ek waqfa aisa bhi aata hain jise shaam ka waqt kehte hain..yeh ek aisa waqfa hain jise na to raat apnati hain.. na din apne saath leke jaati hain.. ab is chode huye, ya choote huye lawaris waqt se, shayar aksar koi lamha chun leta hain.. aur see leta hain apne shero mein..lekin koi koi shaam bhi aisi baanj hoti hain.. ke koi waqfa de ke nahi jata.. koi lamha deke nahi jaata.."

mujhe pyar tumse nahi hai,


mujhe pyar tumse nahi hai, magar maine ye raaz ab tak na jana... ki kyu pyari lagti hai baate tumhari, kabhi maine chaha, tumhe chhu ke dekhu, kabhi chaha tumhe paas lana , magar phir bhi... itna yakin hai, mujhe pyar tumse nahi hai....

Gulzar




subah subah ek khwaab ki dastak par darwaaza khola


dekha sarhad k us paar se kuch mehmaan aayea


ankho se masoos the saare chehre saare sune sunaye


pao dhoye haath dhulaye aangan mai aasan lagvaye


aur tandoor mai maake ki kuch mote mote rot pakaye


potli mai mehmaan mere kuch pichle saalon k paslo k


aakh khuli tou dekha tou ghar par koi nahi tha


haath laga kar dekha tou tandoor abhi tak bhujha nahi tha


aur hoton par meethe gur ka jayeka ab tak chipak raha tha


khwaab tha shayad haan khwaab hi hoga