सोमवार, 20 अक्तूबर 2008

Raat aur din..


" Raat aur din.. kitne khoobsurat do waqt hain.. aur kitne khoosurat do lavs.. ab in do waqto ke beech ek waqfa aisa bhi aata hain jise shaam ka waqt kehte hain..yeh ek aisa waqfa hain jise na to raat apnati hain.. na din apne saath leke jaati hain.. ab is chode huye, ya choote huye lawaris waqt se, shayar aksar koi lamha chun leta hain.. aur see leta hain apne shero mein..lekin koi koi shaam bhi aisi baanj hoti hain.. ke koi waqfa de ke nahi jata.. koi lamha deke nahi jaata.."

mujhe pyar tumse nahi hai,


mujhe pyar tumse nahi hai, magar maine ye raaz ab tak na jana... ki kyu pyari lagti hai baate tumhari, kabhi maine chaha, tumhe chhu ke dekhu, kabhi chaha tumhe paas lana , magar phir bhi... itna yakin hai, mujhe pyar tumse nahi hai....

Gulzar




subah subah ek khwaab ki dastak par darwaaza khola


dekha sarhad k us paar se kuch mehmaan aayea


ankho se masoos the saare chehre saare sune sunaye


pao dhoye haath dhulaye aangan mai aasan lagvaye


aur tandoor mai maake ki kuch mote mote rot pakaye


potli mai mehmaan mere kuch pichle saalon k paslo k


aakh khuli tou dekha tou ghar par koi nahi tha


haath laga kar dekha tou tandoor abhi tak bhujha nahi tha


aur hoton par meethe gur ka jayeka ab tak chipak raha tha


khwaab tha shayad haan khwaab hi hoga

तेरे बिना !

तेरी आहट से सारा घर फिर जीने लगता है,
वरना इस सहर के बेजान किसी पुर्जे की तरहा  !

अड़ा रहता है किसी कोने में, सुस्त सहमा डरा सा,
तेरे आने से चलने लगती सांसें इसकी ...!

दरवाज़े-खिड़कियाँ, परदों के कानो में खुसफुसातें है,
मुझसे तो जैसे रूठ गया है हर कमरा इसका  ..!

मुह फेर के बैठा रहता है हमेशा,
बिस्तर का तो हाल मत पूछो...!

हमारी पिछली मुलाक़ात की हर याद
समेट के रखी है इसके सरवटों में ..!

इक सिसकी सी सुनाई देती है आधी रात को,
 बहुत तरसता है ये घर मेरा तुम्हारे लिए !




 

Tumne rishte me jo ye nayi nayi girah di hai,



Tumne rishte me jo ye nayi nayi girah di hai,


mujhe masroof rahne ki badi vajah di hai..


Chalta hun kindilon pe diye rakhne hai mujhe


tumne to aayton kee-see baat kah di hai..


Andhere hain yahan.. ye meri badgumani thee


tumne faqat parde hatakar ye subah di hai...


Rahen mere liye ab dushwaar na raheen


chalon ne mere panv ko nai satah di hai..


Usne dushmani bhi ki to bahot hee muhabbat se


usne badduayen bhi duaon kee tarah di hai...