सोमवार, 21 जुलाई 2008

Har nazar ko ek Nazar ki talash hai,

har chehre me kuch toh Ehsaah hai,


Aapse Dosti hum yun hi nahi kar baithe,


kya kare Hamari pasand hi Kuch KHAAS hai . .


Chiragon se agar andhera duur hota,


toh chand ki chahat kise hoti.


Kat sakti agar akele zindagi,


to dosti naam ki cheez hi na hoti.


Kabhi kisi se Zikar e judai mat karna,


Iss dost se kabhi ruswai mat karna,


Jab dil uth jaye humse toh bata dena,


Na batakar bewafai mat karna.


Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai,


Asma lakh uncha ho magar jhuk jata hai,


Dosti me duniya lakh bane rukawat,,


Agar dost sacha ho to khuda bi jhuk jata hai.


Dosti woh Ehsas hai joh mit ta nahi.


Dosti Parwat hai woh,


joh Jhukta nahi,


Iski keemat kya hai pucho Humse,


yeh woh ANMOL Moti hai joh bikta nahi . . .


Sachi hai Dosti Aazmaa ke dekho,


badalta nahi kabhi Sona apna rang,


Chahe jitni baar aag me jalaa ke dekho…

jise chaha use apna n ska,

our jo mila us se mohbatt naa hui,


chain se jine ki surat na hui,


kuch esi kismat pai hai "manish" ne.


milna itifaak tha bicharna naseeb tha,


wo utna he door ho gaya jitna kareeb tha.


hum usko dekhne k liye taraste he rahe,


jis shaks ki hatheli pe hamara naseeb tha.


'Mere dil ki kitab ko padhna kabhi,


Sapno me aake mujh se milna kabhi.


Maine duniya sazai hai tere liye,


Meri nazro ki ummed ban’na kabhi.


Bahut dur hai sitaro se roshan jahan,


Jra humkadam banke mere sath chalna kabhi.


Bahut najuk seene mai DIL hai mera,


Tum andaj mohabbat banke dha’rkna kabhi'

शनिवार, 19 जुलाई 2008

Mat khol mere makan ke udas darwaze


Mat khol mere makan ke udas darwaze
Hawa ka shor meri uljhane bada dega
Main khub wakiq hu mere pyaar ki fitrat se
Wo jab dega dard rula dega

गुरुवार, 17 जुलाई 2008

शहर की इस दौड़ में दौड़ के करना क्या है !

जब यही जीना है दोस्तों, तो फ़िर मरना क्या है !!

पहली बारिश में ट्रेन लेट होने की फ़िक्र है !

भूल गये भीगते हुए टहलना क्या है !!

सीरियल्स् के किर्दारों का सारा हाल है मालूम !

पर माँ का हाल पूछ्ने की फ़ुर्सत कहाँ है !!

अब रेत पे नंगे पाँव टहलते क्यूं नहीं !

108 हैं चैनल् फ़िर दिल बहलते क्यूं नहीं !!

इन्टरनैट से दुनिया के तो टच में हैं !

लेकिन पडोस में कौन रहता है जानते तक नहीं !!

मोबाइल, लैन्डलाइन सब की भरमार है !

लेकिन जिग्ररी दोस्त तक पहुँचे ऐसे तार कहाँ हैं !!

कब डूबते हुए सुरज को देखा था, याद है !

कब जाना था शाम का गुज़रना क्या है !!

तो दोस्तों शहर की इस दौड़ में दौड़् के करना क्या है !

जब् यही जीना है तो फ़िर मरना क्या है !!!

शहर की इस दौड़ में दौड़ के करना क्या है !

जब यही जीना है दोस्तों, तो फ़िर मरना क्या............

meri jaan par unki hukumat ka raaz hai,


meri jaan par unki hukumat ka raaz hai,

mott tu pal bhar ko ruk.

main un se ruksati ki ijazat le aaun.......


mere nasseb me aaya hai judai ka sabab banana,

judai tu pal bhar ko ruk

main un se bewafaai ka ilzam le aaun.....


mujhko hi todna pad raha hai sath nibhane ka vaada,a

shk tu pal bhar ko ruk

main un ke labo pe ek hasi chod aaun.....


main to ja raha hu us khuda ke dar pe

zindgi tu pal bhar ko ruk

main unki salamati ki dua mang aaun..


maine maan liya hai woh faisla khuda ka,

phir main chahu,ke zindgi ruk

jayeaur main un ke sath kuch aur pal jee paun.......

Tere noor se roushan ye jahan tamam



Tere noor se roushan ye jahan tamam
Mere ghar bhi aao , bahut andhera hai.


Jala chuka hai falak saari kandile apni,

charag or jalaoo bahut andhera hai.

hawa ka rukh tej hai aaj, bujha chuki hai sare chirag,

diye dilo ke ab to jalaao bahut andhera hai.


jalaoo or jalaao , jalaaoo or jalaoo bahut andhera hai............


my add……………


"Tamaam sahar ki roshni me,

mera ghar talashna mushkil nahi.

jis ghar roshni na ho,

mera “ manish” ka ghar samajh lena".

Meri mutlaashi nighaon ko hairangi de geyaapni justaju de ke mujh ko zindagi de geya.

kho gaya woh khud tu kahein iss jahaan meinaur talash mein apni mujh ko awargi de geya.

rehti hey uski soorat nazroon ke samneiss tarah woh mere dil ko tasalli de geya,

usko manakar lagta tha Rabb ko mana liyadoor jaa kar mujhse meri woh bandagi le geya,

meri ankhon ko yun hairat se na dekh Zafarapni talash inhe dekar innki woh roshni le geya ,

manish mehta “mak”