ज़िन्दगी से गर ख्वाब/ख्याल निकाल दिए जाए तो रह ही क्या जाता है ख्वाब/ख्याल तकलीफ देते है.. मगर तकलीफ तो हकिकत भी देती है........न ! उफ्फ्फ्फ़ ! तुम्हारा ख्याल जीने नहीं देता मुझे !
गुरुवार, 11 सितंबर 2008
मंगलवार, 9 सितंबर 2008
kabhi baarish ki rimjhim koyun hi niharte rehna,
kuch bunde hatheli par.
jama kar
chehre se chhuna
kabhi mausam ki yeh
khamosh harkat
acchi lagti hai............
kabhi jaado'n ki dhoop mein
bicha ke chhat pe chadar
pakaudo'n ke saath
chai ki chuskiyaan lena
kisi thande se jhonke se
achanak hi sihar jana
kabhi hawa ki yeh
maasum sharaarat
acchi lagti hai.................
kabhi garmi ki raato'n mein
taaro'n ko ginte rehna
chand se guft-gu karna
mohabbat ke hasi'n lamho
ki baatein yaad karke
kabhi hasna kabhi rona
yaado'n ke, sukoon ke
pal bhi aksa
racche lagte hain............
kabhi yun hi akele mein
kisi nanhe se khwaab ke
dhago mein ulajh rahna
phir kisi soch mein khona
yeh aalas ke bhare
lamhe bhi aksaracche lagte hain..........!
सदस्यता लें
संदेश (Atom)