शुक्रवार, 30 जनवरी 2009

Wapas lautne ka man karta है...........!


Bas ek bar wapas lautne ka man karta hai .................

Aaj har wo baat yaad aati hai...............

kuch buri batein jo ab acchi lagti hain ........ ........

kuch batein jo kal ki hi batein lagti hain ..................

Abki baar class attend karne ka man karta hai ..................

Dopahar ki class mein aakhen band karne ka man karta hai................

Hostel ke chat ki wo raat yaad aati hai ........ .........

Eexam ke time pe wo hasi mazak bahut yaad aati hai ................

Tab ki bekar lagne wali photo's chehre pe hasi le aati hain ................

Apni galtiyon pe tumse daat khana yaad aata hai। ........ .........

Par tumhari galti dekhne ka man karta hai................

Aaj tum bahut yaad aate ho...............

fir waise hi subah uthne ka man karta hai..................

Bas ek bar wapas lautne ka man karta hai........ ........

Bas ek bar aur ...............

Wapas lautne ka man karta है...........!

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें